Tuesday, January 10, 2006

This is something pretty interesting, a hindi poem written by me. The inspiration for this was the long 1 hour 15 mins train journey from my way back to home from office, with neither nothing to do and nor anything to read, these lines came incidentally and i think i m happy with the result : )

Zaruri nahin ki pyaar mein hamesha hum saath ho
zaruri yeh hai ki dur rehkar bhi hum saath ho
Us pyaar ka kya matlab jahan
saath rehkar bhi duriyan ho

Jud jaata hai ek ajeeb rishta
achanak ek aise ajnabi se ki
uske liye agar hum mar bhi jaye
toh bhi lagta hai ki humne kuch na kiya

kehne ke liye toh hai
yeh sirf dhaai akshar
lekin jisne pyaar kiya wohi
jane kitne bemisal hai yeh akshar

pyaar ke hai bahut roop
khushi, dukh, jalan aur tadap hai kehne ke liye kuch
aisa nahin ki, kiya hai isne sabko aabad
kahi hon ko toh isne bhi kiya hai barbad

haasta hai kum, rulata hai zyada
Usi ka naam yaad dilata hai sada
aata nahin hai ise bulana
aata hai toh sirf dard mein bhi muskurana

kehte hai pyar mein log andhe hote hai
lekin jab band ankhon se duniya khubsurat lage, toh kya gila hai
zaruri nahin ki har pyarkarne walon ka naam ho
zaruri yeh hai ki har pyar ka anjaam ho.

0 Comments:

Post a Comment

<< Home